Zindagi Pal-Pal Karke Dhalti Rahi
Bas Apne Rang Rup Badalti Rahi
Aur Unhi Beetate Palo Ka Hua Kuch Aisa Sila
Ki Mera Masoom Dil Tuhse Ja Mila
Is Dil Ne Pyar Ka ,Bhawano Ka
Sapno Ka Ek Jaal Buna
Jis Ka Ek Sira Tha Mere
Pass Dusra Tere Dil Se Ja Mila
Ab Yadi Tere Dil Mein Bhi Pyar Sacha Hai
Toh Pakad Ke Kheech Lo Is Dhage Ko
Main Khud Hi Kheechi Chali Aauangi
Yadi Chhodh Diya Tune Is Dhage Ko
Toh Main Is Dhage Mein Ulajh Kar Reh Jaauangi
Fir Tum Is Dhage Ko Suljhana Bhi Chaoge
Toh Bhi Suljha Nahi Paaoege
Kyuki Is Dhage Ki Uljhan Mein
Kai Naye Rishte ,Kai Nayi Ganthey Paaoge
Karna Chaoge Tab Pyar Mujhe Par Kar Nahi Paaoge
Abhi Mera Pyar Sidha, Sacha, Masoom Hai
Nahi Nibhega Agar Tumse Toh Apna Sira Bhi Mujhe Louta Do
Main Apne Pyar Ke Dhage Ko Yun Hi Nahi Uljhane Dungi
Tumse Judi Apni Haseen Bhawano, Jajbaaton Ko Yun Hi Nahi Khone Dungi
Karti Hu Tumse Wada Ki
Mere Taraf Ke Sire Mein Tere Liye Yahi Lipta Hua Bas Pyar Hoga
Tu Chahey Wapas Aaye Na Aaye
Is Dhage Main Meri Antim Saans Tak Bas Tera Naam Hoga
Par Bas Ek Sawal Puchti Hun Tujhse
Teri Taraf Jo Sira Hai
Kya Is Par Tab Bhi Mera Naam Hoga?
Mere Liye Yahi Haseen Jajabaat,Pyar
Aur Baki Bachi Zindagi Ko , Nibahane Ka Saath Hoga