Zindagi Ne Kabhi Mudhkey Dekha Nahin
Dekhte-Dekhtey Gumm Si Honey Lagi
Pattharon Ke Shehar Mujhko Miltey Rahe
Nafratton Ke Qiley Mein Neend Aane Lagi
Qaid Honey Lagey Rishtey Mere Sabhi
Subha Banti Rahi, Raat Mitney Lagi
Ummeedon Ka Kharch Itna Barhney Laga
Phool Ki Pattiyaan Chattpataane Lagi
Raat Bhar Jaane Kyon Main Rota Raha
Dekhkar Mujhko Maa Bhi Tow Roney Lagi
Woh Nagar Aaj Bhi Saamne Hai Mere
Jismein Rehkar Main Karta Raha Dillagi
Raah Per Main Rukaa Tha Ghadi Dow Ghadi
Woh Magar Mujhse Doori Banaaney Lagi
Woh Samay Rukk Gaya Tha Kuch Is Taraah
Rote-Rotey Zamee Se Woh Jaane Lagi
Woh Safar Aaj Bhi Kyon Adhoora Sa Hai
Aaj Kyon Har Gali Mujhpe Hansney Lagi
Ek Addhyaay Tha Zindagi Ka Mera
Jiske Jaatey Hee Mitti Bhi Geeli Lagi
Zindagi Ik Nayi Fir Suru Hogayi
Karm Ki Dil Mein Poja Si Honey Lagi
Kaam Karta Raha, Waqt Barhta Raha
Raat Mein Shaql Din Ki Dikhney Lagi
Mulk Ko Maine Darpan Hee Samhjha Sada
Jiske Aanchal Mein Mamta Si Milney Lagi
Kaala Saaya Pada Mulk Per Is Qadar
Aag Aanchal Mein Aisi Kyon Lagney Lagi
Woh Punjab, Bengal Bikherney Laga
Reerdh Ki Haddiyaan Tooney Si Lagi
Surakhsha Ki Dhajji Is Qadar Urrh Gayi
Aam Janta Bhi Isko Bhugatney Lagi.
Mohalley Woh Dilli Ke Rotey Rahe
Galiyaan Sansad Ka Kissa Sunaaney Lagi
Godhra Lutt Gaya Aur Ayoddhya Jala
Kyon Diwaar Maszid Ki Hilney Lagi
Hindu-Muslim Ka Jhagda Yun Barhta Raha
Yeh Zamee Har Jagah Khaali Honey Lagi
Dekho Kashmir Ka Kya Se Kya Hogaya
Har Jagah Iski Tasveer Dikhney Lagi
Dekhkar Boodhi Aankhon Ko Rotey Hue
Yeh Kalam Tootney Jaane Kyon Ab Lagi