Zindagi Mere Haatho Se Samandar Ki Ret Ki Tarah Sarakati Rahi,
Me Chup-Chaap Dekhta Tha, Par Ye Aankhe Chhalakati Rahi.
Khuda Ne Muje Is Duniya Me Janam Dekar Ahesaan Kiya He,
Roz Roz Marake Meri Zindagi Unaka Ye Karz Adaa Karati Rahi.
Jo Meri Khaamoshi Ko Nahi Sunata, Unake Saamane Bolana Bekaar He,
Yahi Sochakar Kai Baar Meri Aawaaz Gale Me Hi Atakati Rahi.
Raat Ko Mayakhaane Me Bahot Si Umeedein Dil Me Zinda Hoti He,
Din Ko Duniya Me Wohi Umeedein Roz Be-Mot Marati Rahi.
Wo Hi Ilzaam, Wo Taane, Wo Hi Duniya Ki Berukhi, Wo Hi Sil-Sila,
Bol To Nahi Shakte, Par Roz Kalam Ke Zariye Hamaari Aah Nikalati Rahi.
Yun To Shyam Har Roz Maikhaane Jaakar Dil Ki Pyaas Buza Leta Hai
Par Ye Nigaahe, Kisiki Nazaro Ki Maikashi Ke Liye Roz Tarasati Rahi.