Zindagi Mein To Maut Ka Manzar Dikhaya Tha Tune
Aa Ab Is Maut Mein Bhi Mujhe Maut Ka Ehsaas Dila Jaa
Bana De Apni Qabr Apne Haathon Se Aaj Tu
Ke Aaj Apna Aakhri Farz Bhi Tu Ada Kar Jaa
Janaze Ko Mere Tu Le To Aaya Is Laashon Ki Mehfil Mein
In Mehfilon Ki Raunak Tu Apni Dilkash Muskaan Se Badha Jaa
Gazal Likhi Thi Maine Bahut Teri Mohabbat Mein
Aaj Tu Meri Rukhsati Pe Koi Nagma Sunaa Jaa
Is Sannatein Ki Chhanv Mein Rehna Hoga Kayi Barson Mujhe
Ke Do Pal To Mere Pehlu Mein Baith Mujhe Deewana Bana Jaa
Bheegne De Apna Daaman Tu Mere Ashqonki Barsaat Se
Mere Qabr Ke Registaan Ko Aaj Tu Sehra Bana Jaa
Ye Fiza Hai Kuch Aur Bhi Haseen Ye Sama Hai Khushnuma
Aa Is Sama Mein Apne Pyaar Ka Jhutha Iqraar Kar Jaa
Ye Kahan Se Aa Gayi Chand Saansein Mere Bejaan Seene Mein
Aa De Dun Tujhe Ye Aakhri Saansein Bhi Inhe Apne Seene Mein Chhupa Jaa