Zindagi Kuch Iss Tarah Se Jiye Ja Rahe Hain
Jaise Shaan Se Koi Gunah Kiye Ja Rahe Hain
Aise To Kissi Kasam Ka Pehra Nahi Hum Per
Fir Bhi Aansu Pe Kar Muskuraye Ja Rahe Hain
Na Manzil Ki Talash, Na Koi Mukaam Hai
Fir Bhi Ek Andhi Daud Daudey Ja Rahey Hain
Koi Gila Nahi Iss Jamaney Se
Fir Bhi Khud Ko Iss Sey Churaey Ja Rahe Hain
Koi Dekh Na Le Gum Meri Aankhon Mein
Sabse Nazarein Bachaey Ja Rahe Hain
Meri Tanhai Ka Shor Koi Sun Na Le
Khud Ko Tanhaion Mein Sametey Ja Rahe Hain
Roshni Ki Ek Kiran Ki Talaash Mein
Khud Ko Andhereon Mein Lapetey Ja Rahey Hain
Ek Pal Ki Zindagi Ke Liye
Ta-Umar Ki Maut Marey Ja Rahey Hain