Zindagi Kuch Iss Tarah Apne Rang Dikhlaajati Hai
Kabhi Har Ek Rang Mein Ek Hi Tasveer Banti Hai
Kabhi Dhundhli Kabhi Saaf Ek Hi Chehra Nazar Aati Hai
Aalam Pareshaaniyon Ka Kuch Iss Tarah Hai
Kii Sone Ke Baad Aankh Phir Na Khulne Ki Tamanna Hojaati Hai
Har Saans Per Chaah Jeene Ki Hoti
Har Dhadkan Per Maut Hi Aahat Mehsoon Hoti Hai
Din Guzarne Lage Issi Kashmakash Mein
Ki Na-Umeed Zindagi Mein Umeed Dhoondne Lagte Hai
Aaye Na Din Aise Kisi Dushman K Liye
Har Pal Khuda Se Dua Yahi Nikalti Hai