Zindagi Kuch Aise Jee Hai Maine Apni
Har Kadam Pe Naye Dost Banata Raha Hu Mai
Nadan Tha Mai Samajh Na Saka Dastur-E Dosti.
Har Kisi Ke Liye Khud Ko Mitaata Raha Hu Mai
Maari Hai Thokar Har Kisi Ne Mere Armaano Ko.
Bhul Ke Sapno Ko, Apne Sab Ko, Sapne Dikhata Raha Hu Mai
Pee Ke Khoon Ke Aansoo Tanhaiyon Me,
Har Waqat Mehfilon Me Muskurata Raha Hu Mai
Mujhko Roka Bhi Dil Ne Aur Samjhaya Bhi Ke Bewafa Hai Ye Dunaiya,
Nadan Hai Tu Ye Kah Kar Isko Chup Karata Raha Hu Mai
Aaj Chhod Diya Hai Saath Mera Yashika Ne Bhawar Me,
Jisko Har Dam Kinaaro Tak Pahuchata Raha Hu Mai