Zindagi Ki Rahon Se,
Aise Hum Nikaltey Hain
Chahton Ki Chahat Mein,
Sirf Haath Maltey Hain
Unko Kya Darayegii,
Koii Aag Dunyaa Men
Jinke Haath Ulfat Men,
Aansuon Se Jaltey Hain
Kal Jahan Pe Bhartey They,
Kitney Khaab Parwaazen
Kyuun Unhii Nigaahon Men,
Ab Sawaal Chaltey Hain
Kaam Phir Nahiin Aatii,
Roshnii Koii Yaaro
Dil Hamara Bujhta Hai,
Jab Charagh Jaltey Hain
Bhuul Ho Gayee Hum Se,
Hum Nahiin Samajh Paaye
Ab Libaas Ki Tarhaa,
Log Dil Badaltey Hain
Ab Kahan Raha Dil Ko,
Tuutney Ka Koii Dar
Jabsey Arman Zakhmon Men,
Haadson Men Paltey Hain
Tu Agar Nahiin Badla,
Gham Tujhey Badal Den Ge
Gham Se Dar Ke Deevaney,
Kis Ke Din Badltey Hain
Humney Terii Rahon Men,
Har Qadam, Har Ik Lamha
Thokaron Se Seekha Hai,
Kis Tarah Sambhaltey Hain
Gar Mujhey Bhulaa Paaye,
Tau Mujhey Bhi Samjhana
Dil Se Naqsh Yaadon Ke,
Kis Tarah Nikaltey Hain