Zindagi Kabhi Kabhar Ulajh Si Jaati Hai
Ummid Ki Yeh Kiran Jaane Kis Simat Ko Jaati Hai
Rehbar Ki Be-Aitnayi Ne Uljha Diya Hai Mujhko
Warna Ye Mauj-E-Dariya Saahil Hi Ko Jaati Hai
Kisse Inkaar Karun Kiska Iqraar Karun
Ab To Aankh Bhi Aansu Ko Nahi Raah Dikhlati Hai
Ab To Dua Karta Hoon Aaj Main Apne Rab Se
Phir Kyon Taqdeer Hi Tadbeer Se Sharmati Hai
Ger-E-Jaan Ummidein Bahar Ban Ke
Chale Jo Karvan Ko Manzil Hi Jaati Hai
Bujh Gaya Jo Chirag-E-Dil Gar Is Bahar Mein
Parwana Bhi Behek Uthega Ke Yaad Aati Hai