Zindagi Ka Har Kadam Badla Hua
Insaan Par Aaj Majbooriyon Ka Hamla Hua…
Do Roti Ki Bhook Tak Nahi Sahi Jaati
Aur Upar Se Yeh Mahengai!!!
Ab To Lagta Hai Raajniti Ke Qaid Mein Hai,
Ek Aam Aadmi Bandha Hua….
Machaliyon Mein Bhi Shor Hai Badlaau Ka,
Zameen To Phir Bhi Zameen Hai
Yahan Par To Samundar Ka Paani Bhi Gandla Hua….
Desh Ka Majdoor Hai Pyaasa Aur Bhooka
Dekh Kar Aaj Ka Mantri Puchta Hai,
“Itna Shor Kyon Macha Rahe Ho,
Aisa Bhi Kya Maajra Hua??”
Sach Aur Jhoot Ek Se Lagte Hai Aaj Ke Yug Mein,
Sach Ki Pehchaan Bhi Iss Yug Mein Bagula Hua…
Aaj Ka Mantri Sota Bhi Hai To Kursi Par Baithkar,
Ke Kahin Neend Mein Bhi Koi Iski Kursi Keench Na Le,
Kursi Ke Nashe Mein Hai Aaj Ka Har Mantri Gira Hua….
Mehangai Ke Kaaran Aaj Ka Aadmi Karzo Mein Doob Raha Hai,
Safed Kapde Walo Ko Koi Fark Nahi,
Bas Bechaara Gareeb Hi Yahan Par Aur Duubla Hua….
Jisko Dekho, Kehta Hai “Main To Bahaar Jaakar Settle Ho Jaaunga”
Sone Ki Chidiya Kehlaane Wala Desh Ka Rupiya Aakhir Itna Kyon Sasta Hua?
Kya Yeh Wahi Desh Hai Jiske Liye Shaheedo Ne Jaan Tak De Di “Khwaish”
Zara Sochiyega!! Aakhir Hum Sab Se Kahan Par Gapla Hua.