Zindagi Jeene Ka Hoslaa Kisi Ka Bhi Kam-Tar Nahi Hota
Yeh Baat Aur Hai Sab Ka Yahan Achha Muqaddar Nahi Hota
Kahin Dhoop Kahin Sayakahin Gham Kahin Khushi Hai
Is Duniya Me Kahin Bhi‚  Ek Jaisa‚  Manzar Nahi Hota
Sab Ko Raah-E-Zindagi Me Tanha Hi Chalna Padta Hai
Taa-Umarr Sath Nibha Sake Koi Aisa Hum-Safar Nahi Hota
Khushi Ke Chand Lamhe Jaise Raat Bhar Ka Tassawur Hai
Afsaana-E-Gham Lekin Khatam Umarr-Bhar Nahin Hota:
Ek Muddat Se Ek Uljhan Me Hunkisko Tawajjo Dun Main
Bohut Chaha Samjhota Zehan-O-Dil Mein Magar Nahi Hota