Zindagi Is Kadar Hamko Rulati Rahi
Har Khushi Paas Aane Se Pehle Dur Jaati Rahi
Gham Se Naata Hai Shayad Apna Pichle Janam Se
Tabhi To Har Khushi Gham Mein Badal Jaati Rahi
Chaha Jo Kuch Bhi Hamne Na Mila Hamko
Ek Adhoori Si Chahat Ban Ke Reh Gaya Sab Kuch
Ki Koshish Kabhi Hamne Jeetne Ki Kuch Bhi To
Hamari Hi Kismat Aa Kar Hamein Harati Rahi
Lad Bhi Lete Ham Mukadar Se Gar Koi Apna Hota
Aur Badal Bhi Dete Ham Shayad Apni Taqdeer Ko
Par Bhagte Rahe Jis Manzil Ko Paane Ki Khaatir
Woh Manzil Bhi Hamse Door Jaati Rahi
Aisa Nahi Ke Koi Nahi Tha Hamara Yahan
Har Rishta Hai Banaya Aur Apnaya Hamne
Aur Har Rishte Ki Khaatir Khud Ko Bhi Hai Mitaya Hamne
Par Shayad Kachchi Reh Jaati Thi Gaanth Har Rishte Ki
Jo Thoda Sa Kheenchne Pe Hi Khul Jaati Rahi
Bahut Roye Hai Ham Hasne Ke Baad Har Waqt
Aur Behte Bhi Rahe Hai Yeh Bewafa Aansu In Aankhon Se
Par Ek Yeh Hansi Shayad Wafadar Hai Apni
Jo Has Has Ke Har Gham Ko Chhupaati Rahi
Jo Has Has Ke Har Gham Ko Chhupaati Rahi