Zindagi Chand Lamhon Ko Ro Hans Ke Bitaana Hi Nahin Hai
Zindagi Chand Khwabon Ka Dil Se Bhulana Bhi Nahin Hai
Chand Rahon Pe Magar Khamosh Tanha Chalte Huve
Zindagi Sirf Ek Umr Jiye Jaana Bhi Nahin Hai
Jab Talak Koi Fareb Kabhi Khaya Hi Na Ho
Dil Kabhi Dard Ke Dariya Mein Nahya Hi Na Ho
Apna Har Chain Kisi Gham Mein Gavaya Hi Na Ho
Khud Ko Deewna Sare Aam Banaya Hi Na Ho
Zindagi Ek Fasana Hai Tab Talak Lekin
Zindagi Sirf Koi Aisa Fasana Bhi Nahin Hai
Shama-E-Dil Yun To Jala Hi Karti Hai
Koi Aandhi Kabhi Bujha Bhi Deti Hai
Chandni Ho Yeh Zaroori To Nahin Itna
Roshni Yun To Sitaron Ki Bahut Hoti Hai
Gar Yeh Insani Mohabbat Ho Jaye Dushwar Jahan Mein
Zindagi Chand Khmosh Buton Ki Ibadat Bhi Nahin Hai
Sirf Aasan Hi Nahin Zindagi Dushwar Bhi Hai
Is Mein Sahil Hi Nahin Majhdhar Bhi Hai
Sambhal-Sambahl Ke Rakhna Kadam Yahan
Rah Purkham Hi Nahi Purkhar Bhi Hai
Chashm-E-Nam Se Kabhi Ashk Na Rukh Pe Aaye
Zingai Kyunke Mahaz Ashk Bahana Bhi Nahin Hai
Zinda Rehne Ko Bahut Hote Hain Kuch Jhoote Bharam Bhi
Dil Khush Karne Ko Kafi Hain Patthar Ke Sanam Bhi
Zakhm Khud Ban Jaate Hain Kai Baar Marham Bhi
Ke Ummeedon Mein Guzarte Hain Kabhi Saal-O-Janam Bhi
Yeh Mana Zindagi Khushiyon Ki Muntazir Hai Praveen
Zindagi Unse Milegi Yeh Thikana Bhi Nahin Hai