Zindagi Bhar Nahi Bholay Gi Wo Bersat Ki Raat
Aik Anjaan Haseena Say Mulaqat Ki Raat
Haeay Wo Raishmi Zulfoun Say Barasta Pani
Phool Say Galoon Pay Ruknay Ko Tarasta Pani

Dil Main Tofaan Uthatay Howay Jazbat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bholay Gi Wo Bersat Ki Raat
Der Kay Bijli Say Achanak Wo Lipatna Uska
Aur Phir Sharam Say Bal Kha Kay Simatna Us Ka
Kabhi Dekhi Na Suni Aisi Tilasmaat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bholay Gi Wo Bersat Ki Raat
Surkh Aanchal Ko Daba Ker Jo Nichora Usnay
Dil Pay Jalta Hua Ik Teer Sa Chora Uss Nay
Aag Pani Main Lagatay Howay Haalat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bholay Gi Wo Bersat Ki Raat
Meri Zulfoun Main Jo Basti Hai, Tasveer Thi Wo
Nojawani Kay Haseen Khwab Ki Tabeer Thi Wo
Aasmanon Say Uter Aai Thi Jo Raat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahi Bholay Gi Wo Bersat Ki Raat