Zindagee Haato Se Jaarhi Hai
Shaam Se Pehly Raat Aarhi Hai
Hasratein Hain Ke Dob Rahi Hain
Seyahee Har Su Chaa Rahi Hai
Anjuman Ho Kay Na Ho Usski Bala Se
Naghma Wafa Ka Phir Bhee Suna Rahi Hai
Kahin Ho Ke Majnu,Kahin Ho Ke Laylaa
Karishme Mohabbat Ke Kia Kia Dekhla Rahi Hai
Asar Apna Kabhe Dekhlayega Jazb E Ulfat
Yhe Keh Keh Kay Dillagee Humko Sumjha Rahi Hai
Jinko Na Wafa Se Matlab Na Jafaaon Ka Pata
Tassawer Main Hayaat Apni Unhi Ki Laarhi Hai
Yhe Parda Ek Khayaal Ka Hai Werna Judai Kaise
Yhe Imtyhaan Hai Ghafil,Zindagee Azma Rahi Hai
Ho Ke Kirchi Kirchi Bazm E Mehfil Main Tere
Nazneen Phir Bhee Mus Kura Rahi Hai