Zehan Ke Samandar Mein Lekhak
Jab Doobta Hai Toh Uski Kalam
Patwaar Ban Kar Khud-B-Khud Chalne Lagti Hai
Aur Lehron Ki Tarah Shabdon Se Shabd Milkar
Usse Wahwahi Ka Patr Bana Dete Hain
Magar Kya Lekhak Sirf Wahwahi Ke Liye Likhta Hai
Shayad, Ya Phir Shayad Nahin,
Wo Likhta Hai Apni Sochon Mein Uthh Rahe
Toofanon Ko Shaant Karne Ke Liye
Ya Apni Aatma Ki Bhookh Ko Mitane Ke Liye
Kabhi Gazal Toh Kabhi Nazam,
Kabhi Kisse Aur Kahaniyan,
Kabhi Kavita Ya Aashaar,
Toh Kabhi Viyangya Jaise
Viyanjanon Se Apni Aantrik Bhookh Mitata Hai
Zindagi Ka Har Rang Jeeta Hai Woh
Haqiqat Mein Na Sahi Toh Afsanon Mein
Sach Toh Yeh Hai Ki Zindagi Ke Baad Bhi Jeeta Hai Woh
Apne Lafzon Mein, Apne Shabdon Mein, Apne Harfon Mein,
Main Bhi Likhna Chahta Hoon,
Kyonki Main Bhi Jeena Chahta Hoon,
Apne Lafzon Mein Zindagi Ke Baad Na Sahi Toh
Kam-Se-Kam Tab Tak Jab Tak Zindagi Hai.
Tum Kaho Toh Main Bhi Likhoon,
Tum Kaho Toh Main Bhi Jiyoon,