Zaruratein Tamanaaein Khwahishein Muqammal Kiye Jaata Hun
Kuch Thak Sa Gaya Hun Ab Mein, Do Khaamosh Lamhe Chahta Hun
Wo Mehfilon Ka Shoro-Gul, Wo Rozgaar Ki Baagdor
Is Zindagi Ki Raftaar Ne Jakad Liya Hai Chaaron Aur
Jeevan Ke Her Sukun Ko Youn Hi Lutaaye Aata Hun
Kuch Thak Sa Gaya Hun Ab Mein, Do Khaamosh Lamhe Chahta Hun
Sau Koshishon Ke Baad Bhee, Haasil Nahi Hai Kuch Mujhe
Iraade Hain Bade Bade, Nateeje Hain Bujhe Bujhe
Sifar Dia Hai Jeevan Ko, Sifar Hi Is Se Paata Hun
Kuch Thak Sa Gaya Hun Ab Mein, Do Khaamosh Lamhe Chahta Hun
Wo Befikrii Ke Din, Wo Beparwaah Raatein
Naa Kal Ki Thi Khabar, Naa Aaj Ki Thee Baatein
Tab Khul Ke Hasaa Kartaa Thaa, Ab To Youn Hi Muskuraata Hun