Zara Apna Kirdaar Tu Dekhiye
Khuloos Ki Miqdaar Tu Dekhiye
(Miqdaar=quantity)
Maanay Jaatay Hain Aap Mohzab
Apna Tarz-E-Guftaar Tu Dekhiye
(Tarz-E-Guftaar=way Of Talk)
Aapk Naam Se Hay Paarsaayi Juri
Aas Pas Koi Haqdaar Tu Dekhiye
(Parsaayi=naiki/achi Baat)
Iss Saltanat Pe Hay Raaj Aapka
Per Kheenchi Madaar Tu Dekhiye
(Madaar=limits/boundaries)
Onchay Mehal Tehray Shaan Aapki
Zara Apna Akhri Daar Tu Dekhiye
(Daar=ghar)
Khushaamdiyon Se Sarshaar Huzoor
In Mein Chupay Gaddaar Tu Dekhiye
Hay Daawa Sachaayi Pe Chalnay Ka
Ek Nazar Apna Alumdaar Tu Dekhiye
(Alumdaar=leader/flag Uthaanay Wala)
Hain Aapk Maashqay Dour Talak
Ab Koi Sacha Dildaar Tu Dekhiye
Duagu Hay Amaan Aapki Hansi K Liye
Per Duniya-E-Aabdaar Tu Dekhiye