Zamana Beeta Hai Khalishon Ke Kafile Ko Guzre,
Magar Kis Dhun Mein Tha Jo Khud Ko Unse Baandh Rakha Hai.
Dikhta Nahi Ab Hamsafar Sang Raah Mein Mere,
Dilo Ne Kis Rang Ko Hawa Mein Uchhaal Rakha Hai.
Maujoodgi Guzre Palon Ki Sanson Se Aati Hai,
Kis Khushboo Ko Usne Khud Se Baandh Rakha Hai.
Milne Ko To Mil Jaayenge Par Ab Chhod Se ‘Tanha’,
Kismat Ne Fir Bichhadne Ka Naya Intzaam Rakha Hai.
Usko Nahi Khabar Par Tu To Hoshiyaar Hai,
Usne Pahle Hi Tujhpar Bahut Ilzaam Rakha Hai.
Kho Jata Hai Adhoore Khwab Sa Mera Har Ik Wada,
Ab Dekhein Iska Kismat Mein Kya Anjaam Rakha Hai.
Toot Jayegi Yaadon Ki Wo Dor Pareshan Kyun Hai,
Waqt Ke Dhaare Mein Maine Usko Baandh Rakha Hai.
Guzre The Wo Jin Raahon Se Ab Wo Raate Badle,
Magar Kis Baat Ne Unpar Nazar Ko Thaam Rakha Hai.
Tanha Guzar Jaayengi Ab Sabhi Shab Ye Soch Le,
Tune Wade Nibhane Ka Jo Usko Bayaan Raakha Hai.
Hue The Humnawan Tumbhi Kisi Ke Kaam Aane Par,
Dekhein Kismat Ne Tumhare Liye Kya Eenaam Rakha Hai