Zakhum Muskuratey Hain Ab Bhi Teri Aahat Par
Dard Bhool Jatey Hain Ab Bhi Teri Aahat Per
Shabnami Sitaroon Mein Phool Khilney Lagtey Hain
Chand Muskuratey Hain Ab Beh Teri Ahat Per
Umer Kaat Di Lakin Bachpana Nahi Jata
Hum Diye Jalatey Hain Ab Beh Teri Ahat Per
Ghantiaan C Bajti Hain Raks Honey Lagta Hai
Dard Jagmagatey Hain Ab Beh Teri Ahat Per
Teri Yaad Aye Tu Neend Jati Rehti Hai
Khawab Tot Jate Hain Ab Beh Teri Ahat Per
Jo Situm Karey Aa Ker Sub Kabool Hai Dil Ko
Hum Khushi Manatey Hain Ab Bhi Teri Ahat Per
Ab Teri Ahat Per Chand Muskurata Hai
Khawab Gungu-Natey Hain Ab Bhi Teri Ahat Per
Tere Hijar Mein Hum Per Ik Ezab Tari Hai
Joonk Joonk Jatey Hain Ab Bhi Teri Ahat Per
Dastakeen Sajaney K Manzir Nahi Rehtey
Rastey Sajatey Hain Ab Beh Teri Ahat Per
Ab Bhi Teri Ahat Per Aass Laut Aati Hai
Hum Diye Jalatey Hain Ab Bhi Teri Ahat Per