Zakhm Dene Waale Ab To Rehem Kar
Ab To Seena Mera Poora Chhalni Ho Gaya
Zakm Dene Waale Ab To Karam Kar
Ab To Jism Mera Poora Zakhmi Ho Gaya
Zakm Dene Waale Ab To Bas Kar Ja
Ab To Zahen Bhi Mera Risne Laga
Zakhm Dene Waale Ab To Thora Theher
Ab To Dil Bhi Mera Toot Kar Bikhar Gaya
Zakhm Dene Waale Zara Itna To Soch Le
Ab Zakm Dene Ki Jagah Bhi Bachi Hai Kya
Zakhm Dene Waale Thora To Khuda Se Dar
Ab Zakhm Par Bhi Zakhm Dega Kya
Zakhm Dene Waale Itna Na Ho Beasar
Ab Dard Chaahe Aur De, Kyu Maarta Hai Ro Kar
Zakm Dene Waale Agar Dard Itna Hai Tujhe
Saamne Aata Hai Kyu, Jaata Hai Kyu Mujhko Chhorkar
Zakhm Dene Waale Tujhe Khuda Nawaaze Khushi
Tu Har Haal Mein Meri Rooh Hai, Kaise Jiyoon Bichharkar
Zakhm Dene Waale Tu Tang Dil Sahi, Bedard Sahi
Dard Tujhe Bhi Hota To Hoga Meri Haalat Dekh Kar
Zakhm Dene Waale Ja Tujhe Maaf Kii Aaj Maine Apni Maut Bhi
Abr Aur Zakhm Dena Band Kar, Maut Ka Aakhri Zakhm De