Zakhm Bhar Jaaye Magar Kyun Dard Yeh Jata Nahi
Vaqt Ke Kyun Ghaanv Marham Koi Bhar Pata Nahi
Husn Chhal Hai,Ek Bh-‘ram Hai Bas Nazar Ka,Ishq Men
Chaut Khaane Par Bhi Kyun Sach Yeh Nazar Aata Nahi
Umrabhar Maine Bahaaye Ashq Ke Dariyaa Kai
Yaad Men Jis Ki, Vo Mere Zakhm Sehlaata Nahi
Jab Se Dekhee Hai Fizaa Main Ne Tere Rukhsaar Kee
Koee Mausam Meree Beenaee Ko Ab Bhaataa Naheen”
Dil Peh Ulfat Kaa Acar Hai Yaa Nigaahoon Kaa Fareb?
Aaina Bhi Juz Tere Kuchh Aur Dikhlaata Nahi
Ranj Hai Is Baat Kaa Loota Di Jis Par Zindagi
Shaksh Woh Yaado Se Meri Khud Ko Behlaata Nahi
Chal Diye Aangan Se Dil Ke Saaye Teri Yaad Ke
Aalam-E-Tanhaayi Kaa Ab Lutf Bhi Aata Nahi
Maan Kar Jis Ko Khudaa Karte Rahe Ham Bandagi
Wehsaton Ke Vaqt Hee Kyun Reh-‘m Dil Aata Nahi
Haadse Ne Jab Kisee Maasoom Ki Hai Jaan Li
Kyun Khuda Dil Ko Tere Maatam Ye Pighlaataa Nahi
Mai Kharaa Hoon Hausalo Ki Phir Vahi Chattaan Ban
Aandhiyaa Aaye Agar, Main Un Se Ghabhraataa Nahin