Zakham-E-Tamannaa Se Bandagi Meri
Bus Rahi *Gham-E-Hayaat Se Dillagi Meri
Ufanti Umangon Ke Sagar Ki Lehrein
Rahin Patakti Laa Sahil Pe Zindagi Meri
Jo Dekha Meherbaan Kabhi Tau Di Sadaa
Sang-E-Raah Hoon, Na Dekho Bechaargi Meri
Dosh Uska Nahi, Ki Ghayal Hoon Iss Tarah
Saza Paayegi Zaroor, Besudh Tishnagi Meri
Aaftaab Ho, Maahtaab Ho, Mujhe Iss Se Kya
Gar Wo Nigaah Na Kare Raushan *Nazzaargi Meri
Wo Hansi Hawaa Lau Paras Kee Gayi Bujhaa
Sadmah Seh Kar Phir Sabr Karegi Saadgi Meri