Yun Nahi Be Sabab Phira Main Awara Hawa Ka Jhonka Ho Jese,
Umeed Wo Chah Hai Shama Se Jalne Ki Meri Zaat Koi Parwana Ho Jese,
Hamarey Ab Koi Galley Bhi Nahi Milta Hath Milana To Door,
Aesey Daregh Jate Hain Mujh Se Log Meri Hasti Azab Ki Bad Dua Ho Jese,
Kyon Mord Ayen Gar Hum Sab Chahley Rah-E-Baqa Par,
Lekin Saf Nazar Aata Hai Ke Har Shaks Burai Ki Rah Pe Chal Pardha Ho Jese,
Apne Mehboob Ko Taraq Karney Ke Bawajod Is Ke Khayal Tang Kartey Hain Mujhe,
Yon Mehsoos Hota Hai Ke Yaar Mera Har Lamha, Har Pal, Wo Har Sans Yaad Karaha Ho Jese,
Asheqana Libas Main Na Aana Mere Agey Aye Haseen Parda Nasheen,
Tere Is Badkhu Mizaj Se Mujhe Aesa Lagta Hai Ke To Mujhe Hawas Ka Shikar Samajhta Ho Jese,
Is Ki Gali Se Gozarta Hoon, Jab Bhi Mujhe Hota Hai Ye Ghuman,
Ke Mera Mehboob Mujhe Bardi Garmi-E-Shooq Se Takta Ho Jese,
Mere Nadan Dil Ko Aaj Bhi Is Se Muhabbat Hai “Haseeb”,
Ayesa Lagta Hai Ke Mera Chand Sa Sanam Mujhse Ab Tak Pyaar Wo Muhabbat Karta Ho Jese.

By Mirza Haseeb