Yun Kati Ishq Me Ek Shayar Ki Raat
Kuch Gazalon Ke Jaam,Kuch Nazmo Ka Saath
Yun Kati Ishq Me Ek Shayar Ki Raat
Kuch Khwaab Mehmaan Rahe Khuli Aankhon Ke
Kuch Lafz Qaid Rahe Band Honthon Ke Picche
Sannaton Me Goonjte Rahe Silsile Saanso Ke
Raat Bhar Yaad Aate Rahe Wo Benoor Dariche
Jahaan Dhoondho To Ab Koi Chehra Nahi
Magar Beete Dino Ne Ajdaad E Aas Chod Rakhi Hai
Ek Chaand Ki Talaash Hai Jo Ab Aashkara Nahi Hai
Ek Dariya Hai Hadd E Nazar Or Kinaara Nahi Hai
Bas Aise He Kuch Khyaalon Ki Nikalti Rahee Baraat
Youn Kati Ishq Me Ek Shayar Ki Raat
Jugnu Bhee Reh Reh Ker Jamee Ke Chaand Ki Yaad Dilate Rahe
Meri Tanhaiyo Ke Saaye Bhee Reh Rehker Mujhe Jalaate Rahe
Wo Nazaren Jo Kaheen Na Ho Ker Bhee Her Soo Dikhayi Di
Humse Duur Jaati Rahi Or Hum Ussko Kareeb Bulate Rahe
Shayar Kehta Hai Ki Wo Bedaaq Nahi Hai
Ek Karz Hai Jo Abhee Chuka Nahi Hai
Saanso Ka Silsila Abhee Ruka Nahi Hai
Teri Aisee Judaai Me Bhee Koi Mazaa Nahi Hai
Tu Gaya Hai Youn Ke Gaya Nahi Hai
Ek Baat Hai Jo Labh Per Thami Hui Hai
Sir Kat To Gaya Per Jhuka Nahi Hai
Karan-‘ Marr To Gaya Per Marra Nahi Hai
Aaj Bhee Teri Yaad Ke Siwa Kuch Aaya Nahi Hai
Meri Zindgi Ka Ye Dastoor Koi Naya Nahi Hai
Tanhai Ke Saaye Me Khudh Se Mulaqaat
Youn Kati Ishq Me Ek Shayar Ki Raat
Kuch Gazalon Ke Jaam,Kuch Nazmo Ka Saath
Youn Kati Ishq Me Ek Shayar Ki Raat