Yun Baat Baat Pe Aakhoon Ko Tarr Nahii Karte,
Qaraar-O-Chain Ko Zer-O-Zabar Nahii Karte.
Zer-O-Zabar = Up & Down,
Hamaari Baat Kii Manaa Ke Ehmeeyat Kam Hain,
To Hum Bhii Paar Hadd-E-Mukhtasar Nahii Karte.
Hadd-E-Mukhtasar = Limit Of Shortness
Yeh Kiss Libaas Mein Ayee Hain Kushi Ghar Mere,
Ise Qubool Kyon Deewar-O-Darr Nahii Karte.
Kabhi Hai Dil Ke Masaayil To Kabhi Duniya Ke,
Khudaaya Aap Kyon Mujh Par Nazar Nahii Karte.
Masaayil=issues/matters.
Woh Be-Dili Se Sune Hai Jo Mein Kahoon Dil Kii,
Ajab Hai Baat Kya Jo Dil Mein Ghar Nahii Karte.
Dil Mein Tha Wahm Tere Khwaab Mein Aaoon Ya Nahii,
Aise Haalaat Mein Koi Safar Nahii Karte.
Wahm=suspicion/doubt
Shaoor Khoob Hain Talib Ko Magar Yeh Dekho,
Kiya Hai Aisa Jo Aashufta-Sarr Nahii Karte.
Shaoor=wisdom, Aashufta-Sarr = Insane/ Sarr Phira.