Yuhin Chalte Chalte Safar Mein Ek Mauzu Saamne Aaya
Ke Khuda Ne Hum Sabko Ek Sa Kyun Nahi Banaya
Na Surat Ek Si Hamari Seerat Bhee Ek Jaisi Nahi
Kisi Ko Gora Us Ne To Kisi Ko Kaala Hai Banaya
Koyee Jee Raha Hai Yahan Be-Parvaah Zindagi
Koyee Allah Ka Pyara Kar Raha Hai Uski Bandagi
Koyee Mast Hai Yahan Duniya Ki Mauz-E Bahar Mein
Koyee Kha Raha Hai Thokrein Yahan Sar-E Bazaar Mein
Safar Chalta Raha Swalaat Chalte Rahe
Mere Saath Saath Ye Khayalat Chalte Gaye
Aaya Mukaam Jab To Sare Swalaat Khatam Huye
Mere Khuda Ho Ke Rubru Mere Saamne Khade Huye
Sar Par Rakh Ke Haath Mere Wo Mujh Se Pharmane Lage
Sun Ke Jinhe Swalaat Mere Khud-B-Khud Jaane Lage
Insaan Banaya Maine Ek Maati Ka Putla Apna Dil Behlane Ko
Kyun Kare Phir Gila Ye Putla Jo Bana Hai Mit Jaane Ko
Alag Alag Rang Hai Jaise Is Jahan Mein
Aisi Hi Hai Surat Inki Mere Dhayan Mein
Jo Jo Kahun Hai Wo Ye Karta Nahi Kuch Iske Bass Mein
Kyun Kare Phir Gila Ye Putla Jo Hai Teer Meri Tarkas Mein