Yekinan Main Tujhsi Nahi, Na Chahat Hai Tujhsa Ban Jaane Ki
Yekinan Tujhasi Soch Nahi, Junun Hai Khuda Sa Reh Jaane Ki
Jaanti Hun Ye Baaten Achhi Nahi Lagati Hai Tum Sabhi Ko
Kya Karun Ye Sirf Aadat Nahi, Junun Hai Khud Sa Reh Jaane Ki
Samaaj Ko Dekho, Rasmo-O-Riwaaj Ka Karate Raho Tum Paalan
Roye Chaahe Dil, Chaahe Pukaare Man, Na Karo Ye Adamabar
Mujhe Swantra Nabh Bahut Pyaara, Bhale Hi Laut Dharati Par Ho Aana
Kya Kahun Ye Sirf Aadat Nahi. Junun Hai Khud Ka Sama Paane Ki
Darate Raho Zindagi Bhar, Dekar Samaj Ki Duhaayi
A Rre! Ye Kaisa Pagalpan, Khud Se Kaisi Hai Ye Ruswaayi
Nahi Chahati, Ye Pagaalpan Aadhe Man Se Mai Bhi Duhraana
Kya Kahoon Ye Sirf Aadat Nahi. Junun Hai Apani Duniya Banaane Ki
Tum Saagar Mein Reh Khood Ko Saagar Samajhate Raho
Laharo Ki Awiral Dhaaram Me Toot Toot Bikhrate Raho
Na Roko, Mujhe Nahi Rukana, Anant Aaksh Ki Khoj Me Jaaungee
Kya Kahoon Ye Sirf Aadat Nahi, Junun Hai Har Pal Naya Dekh Paane Ki
Samaaj Mujhase Hai, Main Isase Nahi, Hai Ye Chhoti Kahani
Jaise Bund -—bund Se, Saagar Bana, Sagar Se Bunde Nahi
Darr Hai Tumhe Mit Jaane Ka, Mera Khwaab Hai Mujhse Mil Jaane Ka
Kya Kahun Ye Sirf Aadat Nahi, Junun Hai Khud Ko Khud Se Jaan Jaane Ki
Main Adambar Nahi, Khokhale Samaaj Ke Pahalou Ka
Main Garima Hun Swantrata Ki Har Kadi Ka
Mujhe Chahat Hai, Her Vesh Mein Pyaar Failaaun
Kya Kahun Ye Sirf Aadat Nahi Junun Hai Har Pahalu Ko Bada Jaane Ki