Yehh‚  Kaisii Jashne- Aazadi‚  Manaa‚  Rahe Hai Hum
Insaniyat Bhulakr, Jati, Majhab Me Bat-Te Ja Rahe Hain Hum
Apno Ke Khoon Se, Apni Siyasat Likhte Hain Kuch Log
Ek Kuda Ko Hazar Khudao Me Baante Hain Yeh Log
Khud Ko Siyasatdah, Kahte Hain Yeh Log
Aur Insano Ko Main, Tum, Hum Me Baante Hain Yeh Log
Kya Mera Khoon, Tumahre Khoon Se Juda Hai
Kya Mera Kuda, Tumahre Khuda Se Bara Hai
Maloom Hai Sacchai Sabko, Phir Bhi Udhar Hi Ja Rahe Hain
Jis Taraf Hume, Le Ja Rahen Hain Yeh Log
Aaj Azadi Ki 61vin Salgirah Manane Ja Rahe Hain Hum
Dunia Ko Roj Tarakki Ke Naye Naye Raste Dikha Rahe Hain Hum
Doosron Ke Gharo Me Roshni Failane Ka Jazba Bhi Rakhtae Hain Hum
Watan Ko Superpower Banane Ka Khawab Bhi Dekhte Hain Hum
Lekin Kya Kabhi Socha Hai Humne, Ki 61 Saal Baad Bhi
Kidhar Ja Rahe Hain Hum, Shayad Insaniyat Ko Bhulte Ja Rahe Hain Hum
Aakhir Kaisi Aazadi Mana Rahen Hain Hum
Aakhir Kaisi Aazadi Mana Rahen Hain Hum.