Yeh Zindegi Nahi, Ajeeb Si Saza Hai Yeh
Jahan Na Jee Sakta, Na Mar Sakta Hoon Main
Is Zindegi Ne Kya Diya Mujhe
Jab Samay Aaya, Tab Dukh Diya Mujhe
Aur Kuch Nahi Chahta Is Zindegi Se
Bas Sukh Chata Hoon Is Zindegi Se
Door Leja Tu Yeh Gham
Kahi Door Leja Tu Ye Gham
Khushiya Phela De Yahan
Bahar Lade Tu Yahan
Isko Shayari, Ya Kavita Na Samajhna
Yeh Hai Mere Dil Se Nikli
Isko Meri Arzoo Samajhna
Chot To Kahee Thi Humne
Par Tere Diye Hue Chot Mein Maza Hai
Bewafayi Ki To Umeed Thi Humme
Par Tujse Judaai Phir Bhi Saza Hai
Aankon Se Pilane Ki Aadat Hai Tumhe
Par Humme Pine Ki Aadat Nahi
Zakmon Ko Bhulane Ki Aadat Hai Tumhe
Par Hume Seene Ki Aadat Nahi
Yaadon Ke Saharey Ji Lena
Aasaan Nahin Is Duniya Mein
Yaadon Ke Saharey Ji Lena
Ek Talak Haqiqat Hai Duniya
Yeh Koi Sunehra Khawab Nahin