Yeh Waqt Aisaa Hai Ki Dushman-E-Watan Khush Hain
Kaam Kartey Hain Dushmanoun Kaa Kuchh Apney Rahbar
Kheyltey Khul Key Mutthhiyoun Mein Dushmanoun Kee Jo
Faayadey Unkey Unki Partiyoun Key Hain Awwal
Maadar-E-Watan Ki Salaamati-Izzat Doyam
Khud Salaamat Raheyn Bas Itnaa Kaam Hai Un Kaa
Aur Is Fitrat-E-Kamaal Key Maahir Hain Woh
Zar Parastee Hai Deen Watan Parastee Kufraan
Chheydtey Hain Usee Thaali Ko Jis Mein Khaatey Hain
Ham Ko Aam-O-Awaam Ko Watan Parastoun Ko
In Key Naapaak Iraadoun Sey Nipatnaa Hogaa
Warnah Yeh Ham Ko Gulaamee Ki Beyrhiyaan Pahinaa
Bas Kisee Aur Mulk Mein Kareyngey Aiyaashee
Tamaam Mulkoun Mein Haasil Hai Dhheyroun Zar In Ko
Tamaam Mulkoun Mein Qaayam Hain Aashiyaan In Key