Yeh Tai Hua Thake Dono Mein Jo Badal Jaey
To Usko Saat Janam Tuk Kabhi Na Pyar Milay
Naseeb Saat Sumunder Ki Pyas Ho Uska
Khizaan Ka Orh Ke Aanchal Use Bahar Mile
Yeh Tai Hua Tha Ke Dono Mein Jo Badal Jaey
Wo Phool Mange To Kaantoan Ka Rehguzar Mile
]ho Roshni Ki Jo Khuahish To Teergi Paye
Qarar Mange To Her Simt Bekali Paye
Buhat Ujaar Sa Weeran Sa Diyar Mile
Yeh Tai Hua Tha Ke Dono Mein Jo Badal Jaye
Mager Wo Ehd E Zamany Ki Zerd Deemak Ne
Kuch Is Tarhan Se Hai Chata Nishan Tukk Na Mila
Usay Bhi A Gaya Jeenay Ka Aik Dhung Naya
Humain Bhi Us Se Jo Shikway They Bhool Bhall Gawy
Ye Tai Hua Tha Ke Dono Mein Jo Badal Jaey To Usko