Yeh Subah-E-Nau Hai Umeed Ki Kirnain Phutin Hain
Phir Say Larzay Hain Hosh Kay Aariz
Zehan-E-Dana Ki Zanjeer-Ekhauf Tutin Hain
Muskurai Phir Say Ruthi Sadaqat Ki Saba
Gaayi Phir Say Pathrai Muhabbat Ki Zabaan
Teray Jaagnay Say Bahaaron Kay Phir Aasaar Banay Hain
Shub Bahut Taweel Thi Zehar Bahut Piya Humnay
Hajum Kay Khumaar Kay Sabab Kuch Is Tarah Jiya Humnay
Dum Tod Gayay Kitnay Azeez Aankhon Kay Saamnay
Wehshat Ga Rahi Thi Kyunki Muhabbat Kay Naam Say
Kal Talak Jo Humniwaala Thay Kaafir Ho Gayay
Apnay Hi Mazhubon Say Banday Munkir Ho Gayay
Wo To Jalaai Thin Shammain Paghambron Nay Muhabbat Ki
Kaisi Bani Unsay Magar Ye Aag Nafrat Ki?
Tum Sotay Rahay Dana Aur Yeh Saazish Barti Hi Gayi
Teray Bina Ye Bheer Suli-E-Ghaphlat Charti Hai Rahi
Khauf-E-Hajum Thaa Tumhaqin Kahin Waisy Hi Uktahat
Magar Idhar Barti Hi Gayi Tehzeeb Ki Ghabrahat
Aur Sadaqat-O-Ishq Kay Paaon Main Partay Rahay Chaalay
Taareekh Ki Aankhon Main Umratay Hi Rahay Badal Ghanay Kaalay
Ab Tu Jaagaa Hai To Auro Ko Bhee Jagaa Day
Behosh Saraabon Main Chasma-E-Ulfat Banaa Day
Day Day Phir Say Tehzeeb Ki Saanson Ko Rawaani
Mazhub Ko Phir Say Ruh-E-Mazhub Dila Day