Yeh Shehar Hain Zaalim Bada Chalna Jara Sambhal Ke
Milte Hain Log Yahan Chehre Badal-Badal Ke
Jindaagi Sasti Hain Bahut Maut Kii Sadkon Par
Phirte Hain Qaatil Yahan Iraadein Liye Qatal Ke
Mazloom Loot_te Hain Yahan Kanoon Ke Rakhwalon Se
Khakhi Vardion Mein Milte Hain Looterein Chambal Ke
Khoon Se Range Hain Haath Safedposhon Ke To Kya
Bichte Hain Dariche Magar Un Kadmon Par Makhmal Ke
Aabru Ke Shikariyon Se Sehma Hua Har Aanchal Hain
Sharmate Hain In Vehshiyon Se Darinde Bhii Jangle Ke
Khudgarz Hua Hai Insaan Taraqqi Kii Andhi Daud Mein
Aage Badhte Hain Log Kureel Ekk Duje Ko Kuchal Ke