Yeh Sheetal Mand-Sugandh Pawan Chukar Anang Ko Aati Hai
Kar Ke Sparsh Sandesh Madan Ka Rom-Rom Bhar Jati Hai
(Anang = Madan = Kaamdev)
Taru Ke Patton Ka Mradu Gaayan Mujhko Matwala Karta Hai
Yeh Mand-Mand Bahta Sari-Jal Utsah Hradaya Me Bharta Hai
Sari-Jal = River)
Ravi Bahu-Pash Me Baddha Lalima Mujhko Pagal Karti Hai
Nishi Ke Anchal Ki Chhaya Mujhme Ajab Nasha Sa Bharti Hai
Ab Mujhse Nahin Raha Jata He Priye Na Aankhen Band Karo
Yeh Bela Hai Sukh Rashi Khol Do Jeevan Me Anand Bharo
Trishna Se Tapte Adharon Ki Aao Priye Pyas Bujha Den Hum
Tan-Man Me Jalti Jwala Ka Aao Kuchh Taap Ghata Den Hum
Hain Bahu-Kapaat Khule Mere Aao Priyetam Aalingan Me
Sab Bandh Tod Do Pran-Priye Bhar Len Anant Sukh Jeevan Me