Yeh Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jite Rehte Yahi Intezaar Hota
Tere Vaade Par Jiye Ham To Ye Jaan Jhuuth Jaana
Ke Khushi Se Mar Na Jate Agar Aitabaar Hota
Teri Nazuki Se Janaa Ki Bandha Tha Ahd_boda
Kabhi Tu Na Tod Sakta Agar Ustavaar Hota
Koi Mere Dil Se Poochhe Tere Tir-E-Nimakash Ko
Ye Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hotaa
Yeh Kahaan Ki Dosti Hai Ke Bane Hain Dost Naaseh
Koi Charasaz Hotaa Koi Gamgusaar Hota
Rag-E-Sang Se Tapakta Wo Lahoo Ki Phir Na Thamta
Jise Gham Samajh Rahe Ho Ye Agar Sharaar Hota
Gham Agarche Jaan_gusil Hai Pe Kahaan Bache Ke Dil Hai
Gham-E-Ishq Agar Na Hota, Gham-E-Rozagaar Hota
Kahun Kis Se Main Ke Kya Hai Shab-E-Gham Buri Bala Hai
Mujhe Kyaa Bura Tha Marana Agar Ek Baar Hotaa
Huye Mar Ke Ham Jo Rusavaa, Hue Kyun Na Garq-E-Dariya
Na Kabhii Janaza Uthta, Na Kahi Mazar Hota
Use Kaun Dekh Sakta Ki Yagana Hai Wo Yakta
Jo Duii Kii Buu Bhii Hotii To Kahin Do Chaar Hotaa
Yeh Masaail-E-Tasavvuf Ye Teraa Bayaan Ghalib
Tujhe Ham Wali Samajhate Jo Na Baadaa Khvaar Hota