Yeh Manzar Dekhtaa Hoon Jab To Dil Mein Dard Hota Hain,
Ke Apne Ghar Kaa Nakshaa Abb Nahi Dilkash Mere Humdum.
Naa Abb Darr Kee Koi Darkaar Naa Khirki Kaa Koi Kaam
Ke Harr Ekk Shaksh Apne Ghar Mein Khudka Ghar Banaaye Hain.
Lage Takseem Sa Aangan Lage Sarhad Ujaalon Mein,
Lage Ke Baantne Ko Bass Hawaa Hii Reh Gayee Hai Abb,
Ke Harr Kone Se Chulhon Ka Dhuaan Uthtaa Nazar Aaye,
Nazar Aataa Nahi Mehsoos Hota Hai Dhuaan Dil Kaa.
Naa Jaane Kyon Mujhe Iss Haadse Ko Zabt Karnaa Hain,
Naa Jaane Kaunsa Meraa Gunaah Aisaa Kabeeraa Tha.
Ke Apne Khud Ke Saaye Ko Dua Mein De Nahi Paata,
Kahin Koi Kami Hogi Hamaari Tarbiyat Mein Bhii.
Mujhe Batlaaye Koi Kab Who Aayegaa Mujhe Lene,
Magar Main Tumse Milne Abb Kabhi Aaoon Nahi Shaayad,
Ke Puuchogi Hamaare Ghar Kaa Abb Maahaul Kaisaa Hain,
Tau Mein Bass Ro Padoonga Aur Tumhein Kya Mooh Dikhaoonga.