Yeh Mairi Ghazlain Yeh Mairi Nagmain
Tumaam Tairee Hikayattain Hain
Yeh Tazkaray Tairay Lutaf Kay Hain
Yeh Shair Tairee Shikayattain Hain
Mein Sab Tairee Nazar Kar Rahee Hoon
Yeh Un Zamanoon Ke Sa-‘attain Hain
Jo Zindagi Kay Naye Safar Mein
Tujhay Kissi Vaqaat Yaad Ayain
Tu Aik Aik Harf Jee Uthaingay
Pahaan Kay Anfaas Ke Kabayain
Udaas Tunhaiyoon Kay Lamhoon
Mein Naach Uthain Gee Yeh Apsarain
Mujhay Tairay Dard Kay Illawa Bhi
Aur Dukh Thai Yeh Mantee Hoon
Hazaar Ghaam Thai Jo Zindagi Kay
Talaash Mein Thai Yeh Jantee Hoon
Mujhay Khabar Thee Kay Tairay Anchal Mein
Dard Ke Raith Chantee Hoon
Magar Har Ik Baar Tujh Ko Choo Kar
Yeh Rait Rung E Hina Bani Hai
Yeh Zakhm Gulzaar Ban Gai Hain
Yeh Ah H Sozaan Ghata Bani Hai
Yeh Dard E Mouj E Saba Hoa Hai
Yeh Aag Dil Ke Sada Bani Hai
Aur Ab Yeh Sari Mata E Hasti
Yeh Phool Yeh Zakham Sab Tairay Hain
Yeh Dukh Kay Nohay Yeh Sukh Kay Naghmay
Jo Kal Mairay Thay Who Ab Tairay Hain
Jo Tairi Qurbaat Tairi Juddai
Mein Kut Gai Roz O Shab Tairay Hain
Who Tieray Shair Teray Mughani
Who Jis Ke Batain Ajeeb See Theen
Who Jis Kay Andaaz Khusrowana Thai
Aur Jis Kay Jeena Ke Khawahishain Bhi
Khud Uss Kay Apnay Naseeb See Theen
Na Pooch Uss Ka Kay Who Divanee
Bohat Dinoon Say Ujar Chukkee Hai
Who Kohkan Tu Nahi Tha Laikin
Kari Chatanoon Say Lar Chukkee Hai
Who Takh Chukkee Thee Aur Uss Ka Taishaa
Ussi Kay Seenay Mein Gar Chukka Hai