Yeh Jo Reeg Dasht-E-Firaq Hai
Yeh Rukay Agar To Nishan Milay
Kay Jo Faslon Ki Saleeb Hai
Yeh Garri Howi Hai Kahan Kahan

Mairay Asmaan Say Kidhar Gai
Teray Iltifaat Ki Kehkashaan
Mairay Baykhabar
Mairay Bay Nishan
Yeh Rukay Agar To Nishan Milay
Main Tha Kis Nagar ,Tu Raha Kahan
Kay Zaman-O-Makan Ki Yeh Wosatain
Tujhay Daikhnay Ko Taras Gain
Who Mairay Naseeb Ki Barishain
Kisi Aur Chatt Pay Baras Gain
Mairay Chaar Soo Hai Ghubaar-E-Jaan, Woh Fishaar-E-Jaan
Kay Khabar Nahi Mairay Hath Ko, Mairay Hath Ki
Mairay Khawab Say Teray Baam Tak
Teri Rehguzar Ka To Zikar Kia
Nahi Zoofishan Tera Naam Tak
Hain Dhowan Dhowan Mairay Istakhwan
Mairay Ansoon Main Bujhaay Howay Mairay Istakhwan
Mairay Naqsh-E-Gar, Mairay Naqshe-E-Jaan
Isi Reeg Dasht-E-Firaaq Main, Rahay Mutazir, Teray Muntazir
Mairay Khawab , Jin Kay Fishaar Main
Rahi Mairay Haal Say Baykhabar, Teri Raah Guzar
Teri Rahguzar Kay Jo Naqsh Hain, Mairay Hath Per
Magar As Bala Ki Hai Teergi
Kay Khabar Nahi, Mairay Hath Ko , Mairay Hath Ki
Woh Jo Chashm-E-Sho-‘bda Saaz Thi, Woh Uthay Agar
Mairay Istakhwan Main Ho Roshni
Isi Aik Lamha-E-Deed Main Teri Rah Guzar
Mairi Tera Jaan Main Chamak Uthay
Mairay Khawab Say Teray Baam Tak
Sabhi Manzaron Main Damak Uthay
Usi Aik Pal Main Ho Jawidan
Mairi Arzoo Hai Kay Baykaran
Mairi Zindagi Hai Kay Mukhtasar
Yeh Jo Reeg Dasht-E-Firaq Hai