Yeh Jo Kuch Zakhm Khile Hai Yaaron,
Dard Ke Laal-Qile Hai Yaaroo
Dosto Mein To Koi Dushman Nahi,
Phir Kis Liye Yeh Shikwe-Gile Hai Yaaron
Baat Karne Ko Zubaan Hai Azaad,
Phir Kyon Yeh Honth Sile Hai Yaaron
Mehfil Mein Aate Hi, Sab Se Bichad Jaane Ka Darr,
Abhi To Hum Sab Se Mile Hai Yaaron
Sitaare Hamesha Jhilmilate Rahe, Yehi Ussi Ki Shaan Hai
Par Aaj Sitaare Aasman Se Kyon Hile Hai Yaaro
Bastiyan Dil Ki Basti Hai Issi Mehfil Mein “Khwaish”
Varna Iss Duniya Mein‚  Aur Bahut Si Mehfile Hai Yaaron
Iss Mehfil Ke Panho Ko Palatkar Kabhi Dekhna Zara,
Iss Mehfil Mein Qaid Yaadon Ke Kaafile Hai Yaaron
Khwaish” Ki Aaj Yehi Khwaish Hai Ki,
Koi Na Kuchle Iss Mehakte Phool Ko,
Apne Hi Pairon Tale
Inhe Bhi Zinda Rehne Ka Haq Hai,
Abhi To Yeh Phool Khile Hai Yaaron