Yeh Duniya Haan Ek Saraaye Faani Hay
Sun!!!! K Sab Ki Jaan Ek Din Jaani Hay
Hoosh Kar Nasamjh Pehachan Manzil Ko
K Bas Chaar Rooz Ki Yeh Zindagani Hay
Bhai Kaun De Paya Hay Shikast Maut Ko
Kyo Dil Mein Tere Yeh Khush Gumaani Hay
Mita Diya Mitti Ne Kaise Kaise Naamoo Ko
Ab Na Hi Naam Pe Un K Ashk Fishaani Hay
(Ashk Fishaani=aanso Bahana)
Na Dekhay Zar Zaivar, Na Hi Haisiyat Ko
K Yeh Maut Har Rishtay Se Anjaani Hay
Dost Na Dikha Apna Zour Uski Qudart Ko
Tinkay Ki Maanind Teri Yeh Jawaani Hay
(Maanind=like)
Aay Dour-Andaish Kiya Khabar Tujh Ko
Kab Toot Jaye Sansoon Ki Jo Rawaani Hay
(Dour-Andaish=aqal Wala, Dour Ki Soochnay Wala)
Kyo Tan K Deikhta Hay Apnay Mehloon Ko
Qabar Teri Manzil K Maut Tujhe Aani Hay
Hay Khoya Laikar In Haseen Chehroon Ko
Bhool Gaya K Maut Hi Teri Asal Raani Hay
Khuda Ka Darja Dete Thay Jo Apni Daulat Ko
Dekh Aaj Unki Kaisi Be Sar-O-Samaani Hay
Jo Mohabbat Tujh Se Tere Rishtaydaroon Ko
Sab Chalan Yeh Unki, Daulat Teri Paani Hay
Doosti Yaari Kab Talak Sahara Daigi Tujh Ko
Daal K Teen Haath Mitti K Honi Begaani Hay*
Samjh Jaa Nadaan Duniya Ki Haqeeqat Ko
Har Qadam Pe Khudayi Ki Ek Nishaani Hay
Kyo Urata Hay Hansi Mein Apne Gunnah Ko
Karlay Tauba Warna Bari Paishmaani Hay
(Paishmaani=sharminda Hona)
Kar Kaam Bhalay Aur Thaam Uski Rassi Ko
Wohan Bas Yeh Aur Ibadat Kaam Aani Hay
(Rassi=rope)
Sach Kehta Hoon Sanbhaal Apni Aqbat Ko
Warna Qabar Mein Taareek Veeraani Hay
Chal Hochala Hay Waqt Ijaazat Ab Aman Ko
K Dil Howa Bechain, Tabiyat Mein Giraani Hay
(Giraani=like Tabiyat Udaas)