Ye Zauq-O-Shauq Mere Dil Ka Tarjumaan Ho Gaya
Yeh Zarra Zarra Mohabbat Ka Raazdaan Ho Gaya
Zubaan Se Kyun Karun Ruswa Mein Apne Lafzon Ko
Wo Raaz Aankhon Hi Aankhon Mein Jo Bayaan Ho Gaya
Mujhe Pata Hai Mere Ranj-O-Ghum Ki Hed Hi Naheen
Isi Liye Mein Ghari Bhar Ko Shaadmaan Ho Gaya
Banaya Ghair Hamein Aur Aduu Ka Saath Diya
Ke Ham Zameen Pe Rahe Aur Wo Aasmaan Ho Gaya
Barbadi-E-Dil Koee Tamasha Hai Ke Dekhein
Hamare Sabr Ka Bhi Aaj Imtihaan Ho Gaya
Baja Hai Mehfil-E-Yaaraan Mein Paas E Ruswaayee
Mushi Ka Lehja-E-Ghum Dil Ki Daastaan Ho Gaya