Ye Zard Mausam Ke Khushk Patte
Havaa Jinhen Le Gaii Udaakar
Agar Kabhii In Ko Dekh Paao
To Soch Lenaa
Ki In Mein Har Barg Ke Namuu Mein
Ziyaan Gayaa Arq Shaakh-E-Gul Kaa
Kabhii Ye Sarsabz Konpalen The
Kabhii Ye Shaadaab Bhii Rahe Hain
Khule Huye Honth Kii Tarah
Narm Aur Shaguftaa
Bahut Dinon Tak Ye Sabz Patte
Havaa Ke Relon Mein Bebasii Se Tadap Chuke Hain
Magar Ab Ye Khushk Ho Rahe Hain
Magar Ye Ab Khushk Ho Chuke Hain
Agar Kabhii Is Taraf Se Guzaro
To Dekh Lenaa
Barahanaa Shaakhen Havaa Ke Dil Men Gadii Huii Hain
Ye Ab Tumhaare Liye Nahiin Hain
[Barg = Leaf; Namuu = Growth; Ziyaan = Lessening]
[Arq = Sweat/essential Juice; Barahanaa = Naked]
[Shaakh = Branch]