Ye Zameen Nasha Ye Asman Nasha Hota ;
Kash Ke Her Cheej Main Nasha Hota .
Ye Nadi Nale Samander Hote Sharab Ke;
Mere Gher Ka Nal Bhi Sharab Se Bhara Hota.
Na Fikra Aaj Ki Na Kal Ka Gum Hota;
Peeke Badhawash Kahin Pada Hota.
Na To Ye Jahan Na Koi Gum Hota ;
Her Taraf Nasha – Nasha – Nasha Hota.
Her Waqt Her Taraf Jikra Hota Sharab Ka;
Bazm Mein Her Shakhsh Ek Dooje Se Khafa Hota.
Her Shakhs Ko Shikayat Hai Tere Nizam Se;
Kash Zamin Per Kahin Khuda Hota .
Mujhe Bhi Teri Jafa Se Gila Nahi Hota;
Kash Ke Mai Bhi Bewafa Hota.
Koi Pal Mastghan Ta-Umra Bher Aisa Na Hua ;
Yakeen Jaan Mai Dil Se Kabhi Hansa Hota.