Ye Sitaaron Se Timtimaati Ichchhaein
Mere Aasmaan Per Bikhar Jaati Hain,
Mishkilon Se Koi Ek Sanwarti Hain Or
Hazaaron Nayi Phir Se Ubhar Aati Hain,
Kabhi Mere Hi Baadlon Se Chhup Jaati Hai
Kabhi Jindgi Ki Tez Roshni Se Jal Jaati Hain,
Aadat Hai Inhe Bante Bigadte Rehne Ke
Or Ye Ban-Ban Ke Kai Baar Bigad Jaati Hai,
Tej Hawaahon Ki Dhool Tale
Kai Baar Gum Bhi Ho Jaati Hai,
Jara Garze Baadal Or Bheega Mera Aasmaan
Ye Phir Se Mere Aakaash Pe Chha Jaati Hai,
Ichchhaein To Itni Hain Ke
Kehte Sunte Ik Umr Gujar Jaaye Shaayad,
Mai Jis Pal Jikr Karoon Kuchh Ka
Kuchh Or Usi Pal Ubhar Jaaye Shaayad,
Mai Chaand Mai Ghar Banana Chaahta Hoon
Mai Gehre Saagar Me Utarkar Moti Paana Chaahta Hoon,
Mai Taaron Se Saje Aasmaan Ki Tarah
Is Dharti Ko Dhaan Se Sajana Chahta Hoon,
Meri Maa Ke Ghutnon Me Dard Hai
Mere Pita Ke Sar Par Bahut Karz Hai,
Mai Maaon Ke Khaatir Aspatal Banana Chaahta Hoon
Mere Pita Ke Kaandhe Jhukne Lage Hain,
Mai Unka Karz Chukakar Unke..
Kaandhon Ki Taaqat Barhana Chaahta Hoon,
Meri Behnein Tarasti Hain Parhne Or Kuchh Karne Ko
Mai Unka Aatmvishwaas Barhana Chaahta Hoon,
Mere Kuchh Apne Majboor Hai Bhook Se Ladne Ko
Do Ey Maalik Mujhe Dher Sa Anaaj Do..
Mai Apne Haathon Se Unsabke Khaatir
Dher Si Rotiyaan Banana Chaahta Hoon,
Kuchh Bachchhe Jo Ek Umr Huve
Fate Kapdon Me Tehlte Hain,
Eid Aane Ko Hai, Mai Unke Khaatir
Naye Kapde Banana Chaahta Hoon,
Koi Harijan Hai Koi Pandit Hai Yahaan Par
Mai Sabko Sirf Or Sirf Insaan Banana Chaahta Hoon,
Hey Gange ! Barsaao Eisa Ganga Jal Jameen Par
Mai Sabko Pavitra Banana Chaahta Hoon,
Sab Ladte Hain Yahaan Aapas Me
Jameen Ke Chand Tukdon Ke Khaatir,
Mai Chhote Chhote In Tukdon Ko Milakar
Ik Sundar Gulestaan Banana Chaahta Hoon,
Haan Ke Bahut Shor Ho Chala Hai Jamaane Me
Bhejo Ey Khuda Kuchh Or Muhammed Or Budhh Bhi,
Mai Nanak Bhi Chaahta Hoon Or Jesus Bhi Chaahta Hoon
Mai Mahavir Bhi Chaahta Hoon Mai Ram Bhi Chaahta Hoon.