Ye Nahi Ki Main Inquilaab Ka Haamil Nahin
Ye Nahi Ki Meray Falsufay Main Wahdut Shamil Nahi
Magar Daitee Hai Taareekh Yeh Talkh Sabak Mujhko
Ki Hujum Kisi Daur Main Bhee Banaiga Qaamil Nahin
Na Umeed Kar Ki Badal Jaigee Duniya
Na Farebon Main Guzar Ki Sanwar Jaigi Duniya
Inquilaab Aayay Kitnay Maseehay Gaayay Kitnay
Tammdun Nay Qadam Aagaay Magar Baraaayay Kitnay?
Hazaaron Saal Pehlay Tathagat Ko Jo Fiqr Sataati Thi
Wahi Hazrat-O-Nanak Kay Afqaar Main Aatee Thi
Kal Tha Zehn Par Taari Jo Swaal
Aaj Bhee Zakhm Sa Risay Hai Wo Khyaal
Wo Inquilaab Ki Baatain Wo Sunhalay Fardaa Kay Khwaab
Wo Paighmbaron Ki Aarzu Masihun Ka Intzaar
Jismayn Imroz-O-Khud Kay Imkaan Say Ho Parhaiz
Wo Meray Liyay Sub Falsphay Hain Beqaar
Un Jwaabon Ki Talaash Khud Aap Kar
Zindagi Bhi Lag Jayay Beshak Daanv Par