Ye Mumkin To Nahi Par Kya Pata Aisa Bhi Ho Jaye
Mera Tujhse Bichudna Bas Adad Ek Khawab Ho Jaye
Karishme Bhi Hua Karte Tabhi To Ye Bharosa Hai
Kabhi Sochain Tujhey Aur Bas Tera Deedar Ho Jaye
Kiya Mehsoos Kya Tumne Kisi Ki Yaad Kyun Hamko
Kabhi Chubhti Hai Loo Jaisi Kabhi Barsat Ho Jaye
Takaza Waqt Ka Hai Ya Yahi Fitrat Hai Insaa Ki
Gulon Sa Jo Mehkta Hai Wohi Kyun Khar Ho Jaye
Kaseede Shaan Main Apni Hi Padhta Ja Raha Hai Jo
Dikhado Aaeena Shayad Pashema Yaar Ho Jaye
Bachcha Hai Sach Kas Ke Pakdna Tum Isska Haath
Kahin Ye Jhoot Ke Iss Kumbh Main Tanha Na Ho Jaye
Jatan Bachne Ke Sare Kar Chuke Hum Maante “Neeraj”
Karoge Kya Agar Katil Se‚  Tumko Pyaar Ho Jaye