Ye Mumkin Hai Ki Kisi Roj Main
Teri Jameen Se Chupchaap Gujar Jaaun,
Khafa Na Hona Ey Jindgi
Gar Mai Shaam Hone Per Ghar Na Aaun,
Mujhe Ye Veeraniyaan Bhaane Lagi Hain
Ye Aabaadiyaan Feeki Si Nazar Aane Lagi Hain,
Tum Apne Jharonkon Ko Aksar Band Karke Soti Ho
Shaayad Mai Is Ghutan Me Apni Raatein Na Bita Paaun,
Tumhe To Aadat Hai Sajne Or Sajaane Ki
Or Mai Aainon Se Bhi Sharmaata Hoon,
Keise Keh Doon Ke Khudko Badlo Mere Khaatir
Mai To Shaayad Khud Ko Badal Na Paaun,
Jaanta Hoon Ke ‘Buddh’ To Nahi Ho Sakta Mai
Per Insaanon Sa Bhi Kahaan Reh Paata Hoon,
Apni Meherbaaniyon Se Aazaad Kar Varna Mumkin Hai
Inke Chalte Kaheen Mai ‘Angulimaal’ Hi Na Reh Jaaun,
Muskhkil Hone Laga Hai Khudko
Apne Aap Se Hi Chhupa Paana,
Mai Aakaash Ho Jaana Chaahta Hoon Chaand Nahi
Sochta Hoon Kya Hoga Gar Mai Kaamyaab Na Ho Paaun.