Ye Meine Kya Kiya, Ye Mujhe Kya Hua,
Ye Tumhe Azad Kiya Ya Mein Azad Hua
Ye Milna Milana Tumhe Bozha Sa Laga,
Hairaan Hun Ki Ye Ilma Pehle Na Hua!
Warna Kab Ke Saare Marasim Tod Dete,
Tumse Bhi To Kissa Ye Jatana Na Hua!
Tum Bhi Shukrana Karoge Kabhi Mera,
Jo Unchaha Bemani Sa Yarana Kam Hua!
Kuch Tees Hai To Kuch Halka Bhi Hua,
Chalo Jo Bhi Hua Shayad Acha Hi Hua!
Ab Dua Nahi Koi To Badduan Bhi Nahi,
Kya Dost Kam Hua, Ya Raqeeb Kam Hua!