Ye Makhmal Ka Badan Or Honthon Pe Gulaab
Julfen Jaise Janzeeren Aankhon Mein Sharaab
Kab Tak Sabr Se Hum Kaam Liye
Tujhper Na Mare To Kiya Jiye
Tujhse Choothen To Teri Julf Pakad Leti Hai
Labh Se Choothen To Teri Nazar Jakad Leti Hai
Ye Chaandni Ka Noor Or Palkon Ke Aadaab
Kab Tak Sabr Se Hum Kaam Liye
Tujhper Na Mare To Kya Jiye
Masumiyat Tere Chehre Ki Kudrat Ka Bayaan
Muskurahat Tere Labh Ki Masjid Ki Aazaan
Kamsin Kali Ki Tarah Paak Zindgi Ki Kitaab
Kab Tak Sabr Se Hum Kaam Liye
Tujhper Na Mare To Kya Jiye
Tera Tehzeeb-E-Takallum Bahaaro Ka Mijaaj
Teri Aawaaz Ka Rutba Ussper Jism Nayaab
Mera Kayaash Tu Jamee Per Mujassim-E-Mahtaab
Kab Tak Sabr Se Hum Kaam Liye
Tujhper Na Mare To Kya Jiye
Takallum-The Way Of Talking
Mijaaj-Mood
Kayaash– Guess
Tera Chehre Ke Aangan Per Zindgi Ke Mele
Teri Aankhon Ke Darpan Me Khwahison Ke Rele
Karan Kehta Hai Tu Hai La-Jawaab
Kab Tak Sabr Se Hum Kaam Liye
Tujhper Na Mare To Kya Jiye